Get unlimited streaming on App

Get Xstream App Now

Wynk Music
Mantoiyat

Mantoiyat

Manto
02:56Zee Music Company

Lyrics of Mantoiyat

Raftaar! Sawal yeh hai ke jo cheej jaisi hai Usse waise hi pesh kyon na kiya jaaye Main to apni kahaniyon ko ek aaina samajhta hoon Jismein samaaj apne aap ko dekh sake, dekh sake Aaina na dekhna chaahe samaj mera Poochhe mera kal na dekhte yeh aaj mera Khodte kharodte yeh meri ghaltiyan Main bhi chal diya Meri soch pe hai raaj mera Kaan band, aankhein band Inke munh pe taale Inpe zor na ke satya pe prakash daalein Bolein sach jo uske chehre pe tezab daalein Ghoomein phir khule mein Aur jale to woh naqaab daalein O o off hai, dimaag sabka off hai Zamana kya kahega iska hi toh sabko khauf hai Dabke jeete hain, dabane ke yeh aadi hain S** nishedh hai to itni kyon aabadi hai Log yeh hain aatma se khokhle Khud karein to theek, baaki galat dogle Gaali dein to Hindi mein Toh bolein aisa kyon kiya F**k kyon hai cool jaane galat kyon hai ch**iya Kya iss tara ke alfaaz humein sadkon pe sunayi nahi padte Manto ek insaan hai Man.. Manto ek insaan hai Manto ek insaan hai Manto ek insaan hai Mujh par ilzaam hai Mujh par, mujh par Mujh par ilzaam hai Mujh par ilzaam hai Manto ek insaan hai Jaat mein yeh baant�te hain Baant ke yeh kaat�te hain Katne wale khaat pe hain Inki mauj raat mein hai Laal batti wali gaadi Glass inke hath mein hai Rajneeti mein hai chor Police inke sath mein Meri baat tumko sach nahi lagti Sachi baat tumko yaara pach nahi sakti Mujhse na-samajh hain dugne meri age ke Ek paer kabra mein yeh bhookhe hain dahej ke Betiyon ko maarte, betiyan na paalte Betiyon pe doosron ki nazrein gandi daalte Ladkiyan patake unko bandi bolte hain aur Aur jo raazi na ho unko saale ran*i bolte hain Baabaron se, maa pe thos hath jo uthayega Be-zuban bolne se pehle seekh jayega Mard tab banega jab tu aurtein dabayega Soch yeh rahi toh jaldi desh doob jayega Main society ki choli kya utarunga jo pehle se hi nangi hai Usse kapde pehnana mera kaam nahi hai Main kaali takhti par safed chalk istemaal karta hoon Taaki kaali takhti aur numaya ho jaaye Manto ek insaan Main ghanton padha hai tumko Manto Tumhare jaisa banu kare mera man toh Inn bandon ko sach nahi dikhta 70 saal azaadi ke sach aaj bhi nahi bikta Agar aap meri kahani ko bardaasht nahi kar sakte Toh iska matlab yeh hai ki yeh zamana hi na-kabil-e bardaasht hai

About Lyrics

Lyrics of a song are known to amplify emotions, and sometimes even create a memory. With Wynk, you can now read song lyrics in Hindi and English while listening to songs, throughout genres. Enjoy the true meaning of a song with Mantoiyat lyrics online on Wynk, while listening to Mantoiyat song online here. There are also options to choose your favorite artist Raftaar, Nawazuddin Siddiqui songs on Wynk.

Browse songs from various genres including all of the English Songs and Hindi Songs. Wynk also makes it easy to create your own playlists that you can listen to anytime on Wynk Music. Keep Wynking!

Best way to Listen to Music!

Don’t forget to install Wynk Music on your mobile phones

Wynk Music is the one-stop music app for the latest to the greatest songs that you love. Play your favourite music online for free or download mp3. Enjoy from over 22 Million Hindi, English, Bollywood, Regional, Latest, Old songs and more.

2024 © All rights reserved | Airtel Digital Limited